Monday, December 21, 2009

Khwab se the wo pal jo humne sath bitaye,
Tumhe pata nahi shayad hum kitni sadiyan je aye,
teri khushbu un saanson main meri sama gayi hai
ki har ghari tere kareeb hone ka ehsas hota hai.
Mere muqqamal hone ka ehsas jagaya tumne,
ya un kahun zindagi k safar ko haseen banaya tumne.
Tum sath ho 2 manzil k humen darkar nahi ,
bas rasta jo tere sath kat jaye wo manzil se kam nahi.
Tere sath ko bahut tarse barson bas is se kam main ab guzara nahi.

No comments:

Post a Comment